Tuesday, April 24, 2007

Kabhi to

kabhi to akar vo mere dil ki tadap ko mahssos karti
kabhi to akar vo meri in tanhaiton ko door karti
akeli raton main main rota rahta hun uske liye
kabhi to akar mere aankhon ke in motiyon ko vo chunti
bhatkata hum main uske pyar main dar badar
kabhi to akar meri in aahton ko vo sunti
main dekhta hun usse apne har khwab main
kabhi to akar vo bhi mera didar karti

No comments: